Adsense Ki Jankari Hindi Me

Adsense Ki Jankari , Adsense Ke Bare Me Janie Hindi Me 



Apka Blog Ya Youtube Channel hai to Aapko Adsense ki Jarurat Paregi Adsense Ka Naam to jarur suna hoga, or aapko uske bare me thoda bhut to pata bhi hoga ki ham usse paise kama sakte hai. Par aapke Dimag me kuch sabal hoge Adsense se Sambandit jiska jabab sayad aapko abhi tak nahi mila ho to yaha aapko wo sare sabalo ke jabab milne wale hai.

Adsense se sambandit mene Sabal likhe hai jo log aksar pucha karte hai ya jaanna chate hai, to aap Har sabal ko Padhe or uska jabab bhi padhe.. Me dabe se khe sakta hu aapko bhut kuch aesa jaanne or sikhne ko milega jo aapko abhi tak nahi pata tha. To Chaliye Start karte hai.

1: Adsense ke liye Apply karne se Phele Kya kare?

 Adsense ke liye Agar aap apply karne wale hai to aapko Sabse pheli baat to jald waji bilkul bhi nahi karni hai or apni site ko puri trha se teyar karne ke baad hi Apply karna hai.

2: Hinglish Blog ke liye Adsense Apply karne par konsi Language select kare?

Hinglish se matlab hai jese HMH.pe par likha huaa hai. to agar aap bhi aese likhte hai apne blog par to aap Hindi select kar sakte hai.. par ye jaruri bhi nahi hai kuch logo ne english select ki thi or unke bhi account approve hue hai.

3: Adsense Apply karne ke liye kitni post or Visitor hona chaiye?

Kitni Visitor ho ya kitni Post ho uski koi Value nahi hai. Par aapko apply karne se phele ye dhiyan jarur dena hai ki site sahi se design ho or kam se kam aap badiya 15 post publish kar chuke ho. Visitor kitne bhi ho usse site ke approve hone par koi aasar nahi padta.


4: Kya Domain lekar Apply karne se Adsense jaldi Approve ho jata hai?

Haa, Agar aap apne blog me adsense apply karne se phele Domain add kar lete hai to adsense ki team ko lagta hai ye thode series hai Blog ko le kar to thoda faida to milta hai approve hone me.

5: Ads Blank (Khali) Q aate hai site me?

 Jab kisi site ko adsense ke liye apply karte hai to site fully approve hone ke 2 steps hote hai. Phela Adsense ke liye apply kare fir jab approve ka email aa jata hai to hame ads code bana kar site me lagana hota hai. Fir Adsense ki team site ko visit karti hai or dekhti hai site sahi hai fir automatic ads dikhne lagte hai.
Ads ko dikhne me 1 mahine tak sag sakta hai ya fir ho sakta hai 10 minute me dikhne lage.. usme aap ya me kuch nahi kar sakte.. aap ads code laga kar apni site par dhiyan de.

6: Blogger me Post ke Bich me Ads kaise Lagaye?

Aap Chahe to Ads ke Code ko kar Post ke Bich me add kar sakte hai par usme bhut matha pachi hai or time bhi lagta hai. Aap Template me ads ke code add karke aasani se use kar sakte hai Ads ko har post me laga sakte hai.

7: 1000 Visitor par kitni income hoti hai Adsense me?

Iss Sabal ka jabab me phele ek post ke madiyam se de chuka hu.. aap usko padhe. 1000 Visitor Per Google Adsense Se Kitni Income Hoti Hai uski Puri jankari detail me.

8: Google Adsense ke Faide Kya hai use karne ke?

 Online earning karni hai to mere hisab se Google Adsense ka jabab nahi.. par aesa nahi hai aap dusre ads network bhi use kar sakte hai or Google Adsense Sabse acha hai. Google Adsense Use Karne Ke Fayde in Hindi yaha diye hue hai.

9: Ek Page par Adsense ke Kitne Ads use kar sakte hai?

Aap EK Page me 3+3+2 ads laga sakte hai. Matlab 3 Ad Units, 3 Link Ads or 2 Search Ads hai.

10: Adsense ka Floating(Screen par Fix) Ads laga sakte hai?

Nahi, aap nahi laga sakte. ye Google Adsense ki policy ke khilaf hai. Agar aapne aesa kiya to aapka adsense account kuch hi ghanto me block ho jayega. To aesa karne ka Soche bhi nahi.

11: Adsense Ads me Synchronous and Asynchronous ads Kya hai?

Dono Ads ke Type hai jo alag alag trha se load hote hai. Chaliye dono ko dekh lete hai kaise Load hote hai.
Synchronous: Jese agar Site par 3 ads lage hai or jab site load ho rahi hai to tino ads ek ke baad ek load hoge. Matlab phele ek load ho jayega uske baad dusra ads load hona start hoga fir tisra load hoga.

12: Konse Ads Type use kare, Synchronous or Asynchronous Adsense me?

Asynchronous use kare, iska faida ye hai ki sare ads ek sath load hoge to ads load hone me kam time lagega jisse site ki loading speed badegi or jo server load hota hai wo kam hoga.

13: Low CPC wale ads block karne se Income badti hai?

 Haa, par bhut jada nahi. Jese aapko ye to pata hi hoga ki India me low CPC wale ads hi aate hai, to agar aap Low CPC wale ads block karke USA wale High CPC Ads India ke visitor ko dikhoge to koi faida nahi hoga.. To khene ka matlab aap Ads ki jo category chahe block kar sakte hai par ye pakka nahi ki usse aapki income me badotri ho.

14: Adsense ki Income Kaise Badaye?

 Aap jo Ads ke CPC hai uspar koi control nahi kar sakte or wo kam jada hota rheta hai, par aap CTR ko control kar sakte hai. CTR Badane ke liye Ads ko alag alag jaghao par lagaye or uska Type or design wagera change karte rahe. Alag alag jagha ads laga laga kar dekhe ho sakta hai aapki site ke hisab se konsi sahi jagha hai wo pata karne me aapko mahino lag jaye par practical karte rahe.

15: Adsense se Kitne Kama sakte hai?

Ans: Ye aesa sabal hai jiska jabab sabke pass hai ya kisi ke pass nahi hai. Q ki uski koi limit nahi hai ki kitna kama sakte hai. Jitna kaam karege, jitne jada visitor aayege utni jada income hogi.

16: Jada se Jada kitna CTR safe hota hai?

Ans: CTR to jitna jada hoga utni ho income hogi ye to aapko pata hoga. Par agar aesa hone lage ki jitne bhi visitor site par aaye wo sab ads par click kare to adsense ko to lagega naa ki isne inse bola hoga ya ads aesi jagha lagaye hoge ki jo visitor hai wo or kahi click kar rahe hoge par ads par click ho rahe hai.. to aese me adsense acount khatre me aa sakta hai.
Aap Ads Legal tarike se lagaye or usme koi chedkhani naa kare to 25% CTR bhi safe hai Adsense account ke liye. Par agar aap Adsense ki policy ke khilaf ja rahe hai jab itna CTR mil raha hai to account khatre me aa sakta hai.

17: Block URL(Website) ko wapas kaise Unblock kare Adsense me?

Ans: Jab koi Site Block hoti hai to usko wapas unloack karna naa mumkin ke wara war hai, Fir bhi aap Appeal kar sakte hai. Appeal karne se phele aapki site q disable hui hai uska karan jaan kar usko jarur tikh kar le. Adsense ki Puri Polices ko follow kare phele.

18: Kya ek Website par ek se jada adsense Account use kar sakte hai?

 Haa aap kar sakte hai. Agar aap ek website par ek se jada account use kar rahe hai to aapko use karne se phele ek war adsense ki Policy puri jarur pad leni chaiye, q ki agar aap war war site par adsense ke account badlege to ho sakta hai aapke account block ho jaye.

19: Infolink or Adsense Ads ek Sath Use kar sakte hai?

Ans: Haa, aap bilkul use kar sakte hai usme koi problem nahi hai.

20: Kitne Paise hone par Payment milti hai?

Ans: 100$ hona chaiye jab hi Payment milti hai.. usse kam nahi.

21: Agar Adsense ki kisi Policy ka Palan na kare to kitne time me Account Block ho jata hai?

Ans: Iska koi Time limit nahi hai, ho sakta hai 30 minute me account block ho jaye ya fir 1 hafta bhi lag sakta hai. To Adsense ki Policy ka palan jarur kare.

22: Kya Ek Adsense Account ko alag alag Website/Blog par use kiya ja sakta hai?

Ans: Haa Bilkul.. EK adsense account ko aap kitni bhi website ya blog par use kar sakte hai uski koi limit nahi hai. Yaha dhiyan dene wali baat ye hai ki aap jitni bhi website ya Blog par adsense use kare unme se ek bhi aesi website nahi honi chaiye jo adsense ki policy ka palan naa karti ho, nahi to aapka adsense account block ho sakta hai.

23: CPC kaise Improve karte hai?

Ans: Isme koi Trick nahi hai. Aap Ads alag alag tri kare, Alag alag ads unit tri kare, low CPC wale ads block karde.. par aapke hath me aesa kuch nahi hai ki aap conform khe sake ki ab CPC bad jayega.

24: Payment kab send hoti hai or kitne Din me Mil jati hai Adsense se?

Ans: Adsense har mahine ki 21 tarikh ko Payment send karta hai, or uske 2-3 waorking day me wo paise hamari bank account me aa jate hai. kabhi kabhi aesa ho jata hai ki agar kisi adsense account me koi gadwad najar aati hai to payment ko hold par dal dete hai par account ko check karne ke waad payment send kar di jati hai. to koi bhi farji tarike se paise kamane ka soch rahe hai adsense se to sochna band karde.
Agar Adsense se Payment sent ho chuki hai or abhi tak aapke account me nahi aai to aap apni bank se contact kare.

25: Adsense Account Verified kaise kare or PIN kab aati hai?

Ans: Adsense Account ko Verify karne ke liye hamare diye hue Address par ek PIN aata hai wo hame account me dalna hota hai. Jo PIN hai wo Adsense Account me $10 hone ke baad bheja jata hai. Yaha ek baat ka jarur dhiyan rakhe apna Address bilkul sahi dale.

26: PIN Nahi Milne par Kya kare?

Ans: Adsense Account ko Verify karne ke liye jo PIN bheji gai hai agar wo aapko 15 din tak nahi mile to aap Duwara PIN send kar sakte hai Adsense acount me se. 3 war PIN bheje jane ke baad bhi agar PIN hamare diye address par nahi aati to Document Upload karke bhi Address Verify kara ja sakte hai. Document se Verify karne ka option 3 war PIN bhene ke baad aata hai.

27: Adsense me Ads ke View alag hai Site ke Page Views se?

Ans: Agar aap Adsense use karte hai to aapne dekha hoga ki jo Blog/Website ke Page VIews hote hai wo Adsense ke Views se alag hote hai uska karan hai ki aapne ads kaha lagaya hai or ad load hua ki nahi.
Jese agar koi visitor aaya or aapne ads site me niche laga rakha hai or wo visitor niche gaya hi nahi to us ads ka view count nahi hoga.

28: 1 Person 2 account bana sakte hai Adsense par?

Ans: Nahi, Bana sakta. Par haa Aap bana bhi sakte hai par wo ek hi persaon ke 2 account nahi rahege. aap aesa kar sakte hai ki ek apne naam se or ek apni family member ke naam se adsense account bana sakte hai.

29: Adsense ke sath uc union use kar sakate hai kya?

Ans: Haa kar sakte hai, aap kisi bhi dusre ads ke sath adsense ads use kar sakte hai. Was aapko ye dhiyan rakhna hai ki jo ads aapne lagaye hai wo opoup ads naa ho or adsense ke ads se thodi dur ho.

30: Kya Blogger me bina domain name kharide adsense account approved karaya ja skta hai kya?

Ans: Haa Bilkul, Blogger Google ka bhi hai or Adsense bhi.. or aapne dekha hoga Blogger ke Deshboard me Adsense ka option aata hai.. Aap Bina Domain add kiye bhi Blogger me Adsense use kar sakte hai.

31: Hosted or Non-Hosted Adsense Account Kya hota hai?

Ans: Google ki jitni Service hai, jese Blogger, Youtube agar aap inse Adsense ke liye apply karte hai to jo account hoga wo Hostedaccount hoga. Matlab jo Ads aap use kar rahe hai wo unpar use kar rahe hai jo Google ke hi hai. Par agar aapki koi Site hai or aapko uspar ads use karna hai to aapko non-hosted account chaiye.

32: Page Level Ads Kya hai Adsense me?

Ans: Ye Adsense ke Ads ka hi ek Type hai jo sirf Mobile par dikhte hai. Isme Website me Niche ek ads dikhta hai or kabhi kabhi agar website ki koi link open karte hai to bichme ek ads aata hai.

33: Estimated earnings or Finalized earnings Kya hai Adsense me?

Ans: Estimated Earnings: Ye wo earning hoti hai jo Daily, & Din ki or 30 Din ki earning hoti hai. Ye jo earning hai usko ham fix nahi maan sakte hai kitne hi milege.

34: Youtube ki Income Kab add hoti hai Adsense me?

Ans: Agar aap Youtube Adsense se Pause Kamate hai to aapne dekha hoga ki jo Youtube ki earning hai wo daily add nahi hoti. Wo har mahine ki 15 tarikh ko Adsense account me add hoti hai.

35: Adsense Ads par Khud Click kar sakte hai kya, ya kisi se khe kar click karwa sakte hai kya?

Ans: Nahi, Nahiiiii...... Agar aap Click karege ya kisi se khe kar bhi click karwayege to aap apne adsense account ko khatre me dal rahe hai.

      Thanks   Aabhar   Sukariya

Adsense Ki Jankari Hindi Me Adsense Ki Jankari Hindi Me Reviewed by koday world on 4:56:00 PM Rating: 5
© kodaywap and kodayworld 2016. Powered by Blogger.