YouTube Se Paise Kaise Kamae

YouTube Se Paise Kaise Kamaye

Youtube Se Paise Kanane Ke Liye Kin Kin Cheejo Ki Jarurat Padti Hai

“Youtube se rupees kanane ke liye aapke pas kya kya hona chahiye.” ye sabse bada sawa.l hai. kyuki bahut se log isi karan se youtube se paise kamane me fail ho jate hai.


Option 1: Ye jo cheeze hai jo aap me honi chahiye:
  1. Your Voice: Youtube se paise kaamne me sabse pahle jaruri hai ki aapki aawaz kaisi hai. kyuki audience video maker ki aawaz par sabse jyada dhyan dete hai.
  2. Your Style: Video me sirf bolne or video me samne ho kar visitors se bat karne me samne rah kar video banayi gayi jyada better hoti hai. so ayse me ye aap par depend karta hai ki aapki styule kaisi hai viewers aapko kitna pasand karte hai.
  3. Your Talent: aap video ke throw logo ko kitna sikha sakte ho. impressive kar sakte ho. jisse wo aapke new video ka besabri se intzar kare.
  4. Video Quality: aapke banaye video ki quality achi ho. jise jyada se jyada log pasand kar sake. 

Option 2: Ye wo cheeze hai jo aapke pas honi chahiye:
  1. Camera: video banane ke liye aapke pas ek acha camera hona chahiye. agar aap computer ki screen record karke video banana chahate ho to Camtasia studio software use kar sakte ho.
  2. Video Editing: aapko video edit karne ke bare me thodi bahut (Basic) jankari honi jaruri hai. jisse aap better video edit kar sake.
  3. Computer: video edit karne ke liye aapke pas ek computer ya laptop hona jaruri hai. mobile par youtube se paise kamani ki soch kar waqt barbad nahi kare.
  4. Good Audience: Video banane se pahle internet par aapke facebook, google plus, twitter jaisi social media sites par thode bahut friends hone chahiye. jo aapke video share karne par aapki video dsekh or share kar sake. 

Ab aapko ye to pata chal hi gaya hai ki youtube par video upload karne se pahle aapke pas kya kya hona chahiyeor kin kin cheejo ki jarurat padti hai. to chaliye ab aage jante hai ki video se kamayi kaise hoti hai.  


Youtube Videos Se Kamayi (Income) Kaise Hoti Hai

Hum jab bhi koi naya kam shuru karte hai to hume uske bare me puri jankari hona jaruri hai. or agar nahi hai to pahle us kam ke bare me pata kar lena chahiye. ye har kam me success hone ki meri taraf se free tips hai. to mai bat kar rah tha ki aap youtube par jo video upload karoge, unse earning kaise hogi.
Jab bhi koi aapki video dekhega to aapki 2 tariko se kamayi hogi. 

  1. jab koi video par show hone wale ads par click karega. Video par show hone wale ads par click karne se aapki $0.50 se $5 tak ki income ho sakti hai.
  2. Agar koi aapki video 30 second se jyada dekhega. Man lijiye agar aapki video par 30 second se jyada wale 1000 views hai to aapko iske $1 se$5 tak mil sakte hai. 
To ab aapko 2 sawalo ke jawab mil gaye ki youtube se paise kamane ke liye kon kon si cheezo ki jarurat padti hai or youtube se income kaise hoti hai. so ab mai aapko btane ja raha hu ki youtube se paise kaise kamaye.

 Step 1: Create Youtube Channel
Sabse pahle aapko apna youtube channel banana hai. youtube channel banane ke liye aap youtube.com par jayiye or apni gmail ID se log in kijiye. (youtube google ka hi banaya hua hai so hume youtube par alag se channel banane ki koi jarurat nahi hai.


Step 2: Upload 4-5 Video
Youtube channel banane ke bad dusra kam hai youtube par kuch video bana kar upload karna. to apne youtube channel par ab 4-5 khud ke banaye huye video upload kare.

Step 3: Enable your channel for monetization
Youtube channel par kuch self created video upload karne ke bad tisra kam hai youtube channel ko monetize karna
Step 4: Connect Youtube Channel To Adsense
Youtube channel ko monetize karne ke bad 4th kam hai youtube channel ko adsense se jodna. aapki video par jo ads show honge wo adsense ke ads hote hai. or adsense hi aapki income hogi.

 Note:- Jab aapki videos par 2,000-2,500 views ho jaye tabhi youtube channel ko adsense se connect karna hai. usse pahle karoge to aapka adsense account approved nahi hoga
Step 5: Start Making Best Video
ab aapka youtube channel to ban chuka hai, or aapne use monetize or adsense se connect bhi kar liya hai. to ab aapka youtube se paise kamane ka kam complete ho chuka hu. ab aap sirf videos upload kijiye or income kijiye. magar abhi bhi ek problem hai ki apne videos par views kaise laye. aysa kya kare ki humari videos ko sabse jyada log dekhe, jisse hum jyada se jyada paise kama sake.


YouTube Se Paise Kaise Kamae YouTube Se Paise Kaise Kamae Reviewed by koday world on 6:13:00 PM Rating: 5
© kodaywap and kodayworld 2016. Powered by Blogger.