Blogger Platform Q hai Sabse Behtar [Blogger Faide

Internet Aaj Kha phuch chuka hai ye to sab jante hai hoge, Agar hame kuch bhi Jankari Chaiye hoti hai to ham sidhe Google par search karke pata kar lete hai.. Agar Kya aapko Pata hai wo jankari Dalta kon hai, Agar aapki Website ya Blog hai to iska jabab hai Aap..

Bhut log Website banana chate hai par paise, ya coding naa aane ke karan wo apni website nahi bana pate the, par ab wo Time gaya Agar aapko Coding bilkul bhi nahi aati or Aap paise bhi kharch nahi kar sakte fir bhi aap ek badiya site bana sakte hai Blogger.com par jo Google ka Product hai.

Aaj is post me apko batuaga ki kyon blogger ek achha aur jana-mana platform hai aur kyon apko ise choose karna hi chahiye.

Waise HMH.pe blog WordPress par hai. Lekin agar aap Blogger platform use karte hai tab bhi koi dikkat nahi hai. Kyonki apko aaj ham proof karne wale hai ki Blogger platform bhi ek professional blogging platform hai hai.

Blogger/Blogpsot ke bare me Thodi Jankari
Blogspot ek blogging platform hai, jise har blogging karne wale issi se sirubad karte hai, aur kai bar blogging expert bhi ise use karte hai.

23 august 1999 me Pyra Labs ne Blogger platform ko launch kiya tha. Aur 2003 ko Google inc. ne ise kharid liya.

Agar aap blogger platform par blog banate hai, tab Google apko ek sub domain free deta hai XYZ.Blogspot.com, aur apne ek Google account me ham 100 blogs bana sakte hai.

10+ Reason Blogger Platform Q Use kare uske liye


To chaliye ab me apko batata hu 10 reason jiski wajah se Blogger platform popular blogging platform hai aur apko yah platform kyon use karna chahiye.

#1 Security
Blogger platform Google ka product hai, jab Blogger platform ka dashboard open karna hai tab ham Google ka account login karte hai jo kaafi secure hota hai. Apka blog hack hone ke chance nahi ke barabar hote hai. Simple Sabdo me kahu to dusri kisi bhi site ko hack karne se muskil hai Blogger Blog ko Hack karna..

Also Read: Blogger Blog ko Hack hone se Bachaye

#2 Data Space
a) Blogger me text kitna bhi rakho, apne article kitne bhi rakho yaha koi limit nahi hai.

b) Blogger platform me jab aap post ke liye photo upload karte hai to wo sab photo Google Picasa album me save rahte hai. Ab q ki yah bhi Google ka product hai to yah bahut secure and bharosemand hai.

c) Video ke liye aap apni Video YouTube pe upload karke us video ko apne blogger post me show kar skate hai.

Photo ke liye picasa other platform user bhi kar sakte, aur video ke liye YouTube other platform user bhi use kar sakte hai, lekin YouTube and Picasa Google ke hi product hai, jo sath me Blogger platform se ache friendly attach hote hai.

#3 Data Bandwidth
Apki site ka jitna data use hota hai vah bhi count hota hai. Agar aap hosting use karte hai tab sasti hosting me apko yah problem face karni hoti hai ki jab user sab data use kar leta hai apki site ko bahut bar khola gaya hai ya apki site se bahut download ho rha hai tab apki site ka bandwidth end hote hi site band ho jati hai.

Lekin Blogger platform me unlimited bandwidth hai apko iske bare me sochne ki bhi koi jarurat nahi hai.

#4 Server Load
Kai bar kya hota hai ki jab ek hi time me site par kai jyada user live rahte hai tab sasti hosting ka server down ho jata hai.

Ek normal shared hosting 100+ user real time hone se hi server down ho jata hai. Aur iske liye apko bahut mahangi hositng purchase karni hoti hai.

Agar aap Blogger platform use karte hai tab apko iske bare me koi bhi chinta karne ki jarurat nahi hai. Ye Free hai.

*Agara Aapko Live Visitor kaha se aa rahe hai or kya dekh rahe hai aapki site par uski puri jankari Detail me dekhna hai to aap apni site me Google Analytics Jarur Add kare agar abhi tak nahi kiya hai to.

#5 Server Up/Down
Blogger platform 2013 me 0.x sec. ke liye down hua tha. kahna ka matlab hai Blogger platform ka server bahut kam down hota hai ya esa kah sakte hai nahi ke barabar hi down hota hai.

Lekin dusri taraf agar aap self hosted blog karte hai tab server down and up hona apke hosting ki price ke upar depend karta hai.

#6 Server Response
Blogger platform ka response time millisecond me hota hai wahi dusri taraf self hosted blog ka minimum time sec. me hota hai.

Blogger platform par host sabhi blog bahut fast load hote hai. Agar Template bhi acha use kiya jaye too or jaldi load hoti hai site. Jo Site fast load hoti hai uski Post search me bhi upar aati hai.

#7 SEO (Search Engine Optimization) Update
Blogger platform me bhi SEO kafi acha hota hai, sath me agar apka hosting ki page load speed fast hogi to wo bhi ek ranking ka factor hi hai. Aur sath hi Blogger platform me SEO ke liye kai official option available hai jaise search description, meta tag, robot.txt, search title etc.

SEO ki or jankari ke liye yaha click kare

#8 Template Editing
Blogger platform me template ko bina coding ke bhi edit kar sakte hai. Color set karna, apne layout set karna, Header & Footer, Icon and Logo set karna etc. ko bina coding se set kar sakte hai.

#9 Optional: Easy Coding (For Web Designer)
Blogger Template HTML, CSS, JavaScript, XML, GML language par base hai. Jisme agar apko kewal HTML and CSS language ko hi jante ho tab bhi kisi bhi template ko acha sa coding se edit kar satke hai.

Aur sath me coding editor bhi kafi bahtar hai, ab chuki template XML me hote hai to pura template ka code ek hi page me hote hai. So that apko ek hi page par coding karni hoti hai. Apko alag-alag page ke dhyan nahi rakhna hota hai.

Aur jinko PHP language nahi aati hai tab Blogger platform unke liye ekdam sahi hai, kyon ki blogger platform me yah language support nahi karti hai.

#10 Free Resources
Blogger platform use karne walo ko jyadatar sab widget, templates, tricks & tips internet par free me available ho jate hai.

Internet par Blogger platform ke liye bahut free templates available hai. Aur Blogger template looking me bahut achhe hote hai with responsive.

#11 SEO Attack
Agar aap blogging ke touch me rahte ho to apko yah pata hi hoga ki Google ke kai update jaise Panda, Pigeon, Penguin etc. hote rahte hai.

Aur agar aapne deep me dhyan diya hoga to dekha hoga ki 75% WordPress blog hi attack hote hai.

Almost mere experience se Blogspot ke content kafi high rank hote hai. Reason yah hai ki Blogspot ka server na kabhi down hota hai, fast page load speed, official option for SEO etc.

#12 Always Free
Jaisa ki abhi padha hai apne ki Blogger par kafi templates and widgets free available hote hai uske sath me Blogger platform me apko apne blog ko host karne liye apko ek bhi rupaya nahi dena hoga. It's free and will be free forever.

#13 Use karne me Aasan
Blogger platfom ekdam easy hota hai use me lene ke liye. Is platform ko na kewal technical person hi user karte hai balki iske sath me nontechnical person jo achhe writer, ya kisi anya topic ka acha knowledge rakhte hai, bhi use karte hai.

Aapko Sayad ye pata hoga ki me ek Mechanical Engineer hu..

Conclusion
Mera aim kisi ki tarif karna nahi hokar ek achhe product ki quality batana tha. Blogger ek bahut achha platform hai kaafi professional blogger ne bhi apni life Blogger platform se hi start ki thi, me bhi unme se ek hu..

Lekin is bat se me sahmat hu ki blogger platform me limitation bhi kai hai. Aur yah bhi dekha gaya hai ki agar aap koi term and policy follow nahi karte hai tab apke blog ko without warning delete kar diya jata hai. Isliye pahle achhi tarah se Blogger platform ki policy ko padh le.

Dosto ye Jankari aapko Pasand aai hogi muje ummid hai, kafi Blogger use karne wale Blogger's ko iski jarur help mili hogi Blogger ko or achi se samajne me. Ab main apko aane wale new post me yah batauga wo professional blogs jinka traffic bahut achaa hai, jinki income aur name bahut acha hai wo Blogger platform par hai.

Agar aap Blogger PlatForm use karte hai Blogging ke liye to aapko isme sabse acha kya lagta hai, or agar kuch kami lagti hai to wo bhi bataye ki kya kami hai jiski aapko jarurat padti hai.
Blogger Platform Q hai Sabse Behtar [Blogger Faide Blogger Platform Q hai Sabse Behtar [Blogger Faide Reviewed by koday world on 7:10:00 PM Rating: 5
© kodaywap and kodayworld 2016. Powered by Blogger.